Monday, July 09, 2007

Since these days I spend a lot with myself and loneliness hits me hard I love these lines in the voice of Amitab Bachan.

mein aur meri tanhayi
aksar yeh baatein karte hai
tum hoti to kaisa hota
tum yeh kehti tum woh kehti
tum is baat pe hairan hoti
tum us baat pe kitni hasti
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota
mein aur meri tanhaye aksar baatein karte hai....

yeh raat hai ya tumhari zulfe khuli hui hai
hai chandni ya tumhari nazaro se meri raatein dhuli hui hi
ayeh chaand ha ya tumhara kangansitare hai ya tumhara aanchal
hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khushbu
yeh pattion ki hai sarsarahat ya tumne chupke se kuch kaha hai
yeh sochta hoon mein kabse gumsum
ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai tum nahi ho kahi nahi ho
magar yeh dil hai ki keh raha hai tum yahi ho yahi kahi ho
majboor yeh haalat idhar bhi hai udhar bhi
tanhayi ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi
kehne ko bahot kuch hai magar kisse kahe hum
kab tak yu hi khamosh rahe aur sahe hum
dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
deewar jo hum dono mein hai aaj gira de
kyon dil mein sulaghte rahe logo ko bata de
haan humko mohabbar hai mohabbbat hai mohabbat
ab dil mein yahi baat idhar bhi hai udhar bhi

1 comment:

Raz said...

i dont know hindi! but i wld like to know wht u ve written. ne possibilities?